KHush-kalami ka meri anjam ab bhi yaad hai
ḳhush-kalāmī kā mirī anjām ab bhī yaad hai
mere ehsānoñ kā har in'ām ab bhī yaad hai
rāhat-e-dil rāhat-e-jāñ paikar-e-gulnār thā
yaad hai vo shoḳhī-e-gulfām ab bhī yaad hai
bevafā.ī kar ke bhī vo ho ga.e haiñ nāmvar
be-sabab ham ho ga.e badnām ab bhī yaad hai
dil ke kūche meñ dabe paañv chalī aatī hai yaad
nīm-vā āñkhoñ kā vo paiġhām ab bhī yaad hai
muflis-o-nādār fāqa-kash the ham paivand-kār
aur kitne the hamāre naam ab bhī yaad hai
ik zarā sī baat par 'mohsin' vo us kā rūThnā
kitnī afsurda thī ik ik shaam ab bhī yaad hai
KHush-kalami ka meri anjam ab bhi yaad hai
mere ehsanon ka har in'am ab bhi yaad hai
rahat-e-dil rahat-e-jaan paikar-e-gulnar tha
yaad hai wo shoKHi-e-gulfam ab bhi yaad hai
bewafai kar ke bhi wo ho gae hain namwar
be-sabab hum ho gae badnam ab bhi yaad hai
dil ke kuche mein dabe panw chali aati hai yaad
nim-wa aankhon ka wo paigham ab bhi yaad hai
muflis-o-nadar faqa-kash the hum paiwand-kar
aur kitne the hamare nam ab bhi yaad hai
ek zara si baat par 'mohsin' wo us ka ruThna
kitni afsurda thi ek ek sham ab bhi yaad hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.