KHush raha jae na ranjur hua jata hai
ḳhush rahā jaa.e na ranjūr huā jaatā hai
dastaras se mirī kyā duur huā jaatā hai
haath ik zaḳhm lagā thā jo rah-e-ulfat meñ
paas manzil ke vo nāsūr huā jaatā hai
muñh ke bal ḳhaak pe ġhash khā ke girā to ye khulā
fāqa-mastī se bhī maḳhmūr huā jaatā hai
aql kahtī hai ki hālāt se samjhautā kar
aur ye dil shah-e-mysore huā jaatā hai
aa.ino pūchh lo aakar mire dil se kaise
sang-bārī ke binā chuur huā jaatā hai
jaane kyā khīñch ke laa.ī hai mirī bīnā.ī
paas vaalā bhī bahut duur huā jaatā hai
ik zarā nuur kī bārish ke gire kyā qatre
koh-e-zulmāt bhī ab tuur huā jaatā hai
raushnī ham ne to sūraj kī nichoḌī 'shahbāz'
chehra kyoñ chāñd kā be-nūr huā jaatā hai
KHush raha jae na ranjur hua jata hai
dastaras se meri kya dur hua jata hai
hath ek zaKHm laga tha jo rah-e-ulfat mein
pas manzil ke wo nasur hua jata hai
munh ke bal KHak pe ghash kha ke gira to ye khula
faqa-masti se bhi maKHmur hua jata hai
aql kahti hai ki haalat se samjhauta kar
aur ye dil shah-e-mysore hua jata hai
aaino puchh lo aakar mere dil se kaise
sang-bari ke bina chur hua jata hai
jaane kya khinch ke lai hai meri binai
pas wala bhi bahut dur hua jata hai
ek zara nur ki barish ke gire kya qatre
koh-e-zulmat bhi ab tur hua jata hai
raushni hum ne to suraj ki nichoDi 'shahbaz'
chehra kyon chand ka be-nur hua jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.