KHush to lagta hai magar dil se KHafa ho jaise
ḳhush to lagtā hai magar dil se ḳhafā ho jaise
dard ab ḳhud hī nazar aa.e davā ho jaise
merā ye naġhma ho sahrā kā sukūt-e-markaz
terā ik harf kisī gul kī navā ho jaise
mujh ko merā hī nahīñ 'ilm na terī hai ḳhabar
zindagī ab kisī bachche kī du'ā ho jaise
ab ke dil aur hī ḳhvāhish kā huā hai tālib
dil mirā dil nahīñ ab rāh-e-fanā ho jaise
yuuñ na aa.e ki pashemāñ bhī ho ḳhush-bāsh bhī ho
vo mire paas rahe mujh se judā ho jaise
maiñ ne ye 'umr gañvā.ī hai kahāñ kaaTī hai
pūchhtā aise hai mujh se ki ḳhudā ho jaise
tū kisī aur hī paikar kā huā gul sābit
terī sūrat kisī gulshan se sivā ho jaise
tere afkār mire zehn se yuuñ gir baiThe
kisī būḌhe kā koī sajda qazā ho jaise
is qadar dard hai saudā hai junūñ hai ġham hai
dil pe ik zaḳhm nayā aur lagā ho jaise
sun ke baat us kī mujhe lagtā hai yuuñ ab 'kāvish'
vo mirī jaan ke dushman se milā ho jaise
KHush to lagta hai magar dil se KHafa ho jaise
dard ab KHud hi nazar aae dawa ho jaise
mera ye naghma ho sahra ka sukut-e-markaz
tera ek harf kisi gul ki nawa ho jaise
mujh ko mera hi nahin 'ilm na teri hai KHabar
zindagi ab kisi bachche ki du'a ho jaise
ab ke dil aur hi KHwahish ka hua hai talib
dil mera dil nahin ab rah-e-fana ho jaise
yun na aae ki pasheman bhi ho KHush-bash bhi ho
wo mere pas rahe mujh se juda ho jaise
main ne ye 'umr ganwai hai kahan kaTi hai
puchhta aise hai mujh se ki KHuda ho jaise
tu kisi aur hi paikar ka hua gul sabit
teri surat kisi gulshan se siwa ho jaise
tere afkar mere zehn se yun gir baiThe
kisi buDhe ka koi sajda qaza ho jaise
is qadar dard hai sauda hai junun hai gham hai
dil pe ek zaKHm naya aur laga ho jaise
sun ke baat us ki mujhe lagta hai yun ab 'kawish'
wo meri jaan ke dushman se mila ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.