KHushamad kar ke yan laya gaya hun
ḳhushāmad kar ke yaañ laayā gayā huuñ
magar mahfil se uThvāyā gayā huuñ
achānak chhoḌ kar yuuñ bazm-e-jānāñ
nahīñ aayā magar laayā gayā huuñ
farishta huuñ na koī pārsā huuñ
maiñ aadam huuñ jo bahkāyā gayā huuñ
maiñ huuñ ik ḳhvāb par itnā batā de
tirī āñkhoñ meñ kyoñ paayā gayā huuñ
dikhā kar chāñd meñ chehra tumhārā
kisī bachche sā bahlāyā gayā huuñ
musalsal hichkiyāñ aane lagī haiñ
to kyā maiñ yaad farmāyā gayā huuñ
musāfir thā sarā-e-dil meñ tere
faqat kuchh din hī to aayā gayā huuñ
tavaqqo' yuuñ to un se kuchh nahīñ thī
bharosa de ke bharmāyā gayā huuñ
visāl-e-yār hai 'sāhil' qazā to
malā.ik bhej bulvāyā gayā huuñ
KHushamad kar ke yan laya gaya hun
magar mahfil se uThwaya gaya hun
achanak chhoD kar yun bazm-e-jaanan
nahin aaya magar laya gaya hun
farishta hun na koi parsa hun
main aadam hun jo bahkaya gaya hun
main hun ek KHwab par itna bata de
teri aankhon mein kyon paya gaya hun
dikha kar chand mein chehra tumhaara
kisi bachche sa bahlaya gaya hun
musalsal hichkiyan aane lagi hain
to kya main yaad farmaya gaya hun
musafir tha sara-e-dil mein tere
faqat kuchh din hi to aaya gaya hun
tawaqqo' yun to un se kuchh nahin thi
bharosa de ke bharmaya gaya hun
visal-e-yar hai 'sahil' qaza to
malaik bhej bulwaya gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.