KHushbuon ka har taraf ambar hai
ḳhushbuoñ kā har taraf ambār hai
koī to hai jo pas-e-dīvār hai
chhāñv meñ kaise Thahartī ek pal
dhuup bhī to sāhab-e-kirdār hai
hai safar ḳhushiyoñ kā lekin zindagī
sar pe ik laTkī huī talvār hai
kaun kis kī ab masīhā.ī kare
zehn hī is ahd kā bīmār hai
qad baḌhā deñ jis kā jhūTī shohrateñ
aaj vo sab se baḌā fankār hai
ġham mile haiñ jab se ham ko aap ke
ham haiñ aur ḳhushiyoñ kā kārobār hai
KHushbuon ka har taraf ambar hai
koi to hai jo pas-e-diwar hai
chhanw mein kaise Thaharti ek pal
dhup bhi to sahab-e-kirdar hai
hai safar KHushiyon ka lekin zindagi
sar pe ek laTki hui talwar hai
kaun kis ki ab masihai kare
zehn hi is ahd ka bimar hai
qad baDha den jis ka jhuTi shohraten
aaj wo sab se baDa fankar hai
gham mile hain jab se hum ko aap ke
hum hain aur KHushiyon ka karobar hai
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.