KHushbuon ke liye ek jal bichha kar dekho
ḳhushbuoñ ke liye ik jaal bichhā kar dekho
kāġhazī phūloñ se gul-dān sajā kar dekho
mas.ala tark-e-ta.alluq se na hal hogā kabhī
aur yaad ā.eñge ham ham ko bhulā kar dekho
siskiyāñ bhartī milegī mire ghar kī dahlīz
giit bābul ke mire gaañv meñ gā kar dekho
tājvar kitne hī qadmoñ pe jhukeñge aa kar
taaj kāñToñ kā zarā sar pe sajā kar dekho
imtihāñ apnī vafā kā tumheñ denā hai 'nasīm'
tum bhī ye sham.a havāoñ meñ jalā kar dekho
KHushbuon ke liye ek jal bichha kar dekho
kaghazi phulon se gul-dan saja kar dekho
masala tark-e-talluq se na hal hoga kabhi
aur yaad aaenge hum hum ko bhula kar dekho
siskiyan bharti milegi mere ghar ki dahliz
git babul ke mere ganw mein ga kar dekho
tajwar kitne hi qadmon pe jhukenge aa kar
taj kanTon ka zara sar pe saja kar dekho
imtihan apni wafa ka tumhein dena hai 'nasim'
tum bhi ye shama hawaon mein jala kar dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.