KHushbu dhanak sitare achanak hawa hue
ḳhushbū dhanak sitāre achānak havā hue
raushan zamīr log ḳhudā jaane kyā hue
sāhil bhañvar ufuq ke kināroñ se duur ab
kitne na.e jahān nigāhoñ meñ vā hue
ehsās tez dhuup sā sahrā sī zindagī
ranj-o-alam sazā na hue ham-navā hue
badlā hai kis nigāh ne māhaul is tarah
patthar bhī apne shahr ke sab aa.ina hue
āvāz-e-haq se ḳhālī huā shahr-e-dil-barāñ
jab se hamāre lab bhī yahāñ be-sadā hue
aa.e na lauT kar vo kabhī zindagī meñ phir
jo lamhe zindagī se hamārī ḳhafā hue
lab se nikal ga.ī thī sadāqat kī koī baat
apne parā.e ham se yahāñ sab ḳhafā hue
likkhā hatheliyoñ pe chaman ne ye hādisa
rang-e-shafaq meñ Duub ke barg-e-hinā hue
phir chhoḌte nishān kahāñ zindagī ke ham
jab ḳhvāhishoñ ke dasht meñ ḳhud gard-e-pā hue
gir kar bulandiyoñ se na uThThā koī 'nazar'
yuuñ to anā meñ duub ke kitne ḳhudā hue
KHushbu dhanak sitare achanak hawa hue
raushan zamir log KHuda jaane kya hue
sahil bhanwar ufuq ke kinaron se dur ab
kitne nae jahan nigahon mein wa hue
ehsas tez dhup sa sahra si zindagi
ranj-o-alam saza na hue ham-nawa hue
badla hai kis nigah ne mahaul is tarah
patthar bhi apne shahr ke sab aaina hue
aawaz-e-haq se KHali hua shahr-e-dil-baran
jab se hamare lab bhi yahan be-sada hue
aae na lauT kar wo kabhi zindagi mein phir
jo lamhe zindagi se hamari KHafa hue
lab se nikal gai thi sadaqat ki koi baat
apne parae hum se yahan sab KHafa hue
likkha hatheliyon pe chaman ne ye hadisa
rang-e-shafaq mein Dub ke barg-e-hina hue
phir chhoDte nishan kahan zindagi ke hum
jab KHwahishon ke dasht mein KHud gard-e-pa hue
gir kar bulandiyon se na uThTha koi 'nazar'
yun to ana mein dub ke kitne KHuda hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.