KHushbu hai hawaon mein bikhar jae to achchha
ḳhushbū hai havāoñ meñ bikhar jaa.e to achchhā
sāñsoñ meñ ye logoñ kī utar jaa.e to achchhā
baḌ-bole ko muñh koī lagā.egā bhalā kyoñ
nashsha ye takabbur kā utar jaa.e to achchhā
chhitnār shajar detā hai raahī ko nayā azm
is rāh-guzar se tū guzar jaa.e to achchhā
rut koī bhī shādāb nahīñ dekhī to is ke
siine meñ tamannā hai jo mar jaa.e to achchhā
uljhā huā pariyoñ ke hai afsānoñ meñ nādāñ
tū shahr-e-tilismāt meñ Dar jaa.e to achchhā
hamjoliyāñ dul.han kī isī dhun meñ lagī haiñ
ruup is kā zarā aur sañvar jaa.e to achchhā
vo va.ada-ḳhilāfī kī shikāyat na kareñge
va.ade se 'azīm' apne mukar jaa.e to achchhā
KHushbu hai hawaon mein bikhar jae to achchha
sanson mein ye logon ki utar jae to achchha
baD-bole ko munh koi lagaega bhala kyon
nashsha ye takabbur ka utar jae to achchha
chhitnar shajar deta hai rahi ko naya azm
is rah-guzar se tu guzar jae to achchha
rut koi bhi shadab nahin dekhi to is ke
sine mein tamanna hai jo mar jae to achchha
uljha hua pariyon ke hai afsanon mein nadan
tu shahr-e-tilismat mein Dar jae to achchha
hamjoliyan dulhan ki isi dhun mein lagi hain
rup is ka zara aur sanwar jae to achchha
wo wada-KHilafi ki shikayat na karenge
wade se 'azim' apne mukar jae to achchha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.