KHushbu hai zafran ki aiwan-e-shahr aaj
ḳhushbū hai za.afrān kī aivān-e-shahr aaj
hastī koī zarūr hai mehmān-e-shahr aaj
Takrā.eñ jām-o-mīnā o finjān-e-shahr aaj
pīrān-e-pīr hai koī rindān-e-shahr aaj
sab chauk par haiñ jam.a hasīnoñ kī Toliyāñ
hai biich meñ farāz mirī jān-e-shahr aaj
ab dil hamāre aaj se us ke asiir haiñ
hākim se tai huā hai ye tāvān-e-shahr aaj
kahte haiñ husn-e-yūsuf-e-kan.ān-e-misr se
behosh kuchh huī haiñ hasīnān-e-shahr aaj
sab tāliyāñ bajā.eñ to ho ḳhatm ye ġhazal
'safvat' ke saath mil ke javānān-e-shahr aaj
KHushbu hai zafran ki aiwan-e-shahr aaj
hasti koi zarur hai mehman-e-shahr aaj
Takraen jam-o-mina o finjaan-e-shahr aaj
piran-e-pir hai koi rindan-e-shahr aaj
sab chauk par hain jama hasinon ki Toliyan
hai bich mein faraaz meri jaan-e-shahr aaj
ab dil hamare aaj se us ke asir hain
hakim se tai hua hai ye tawan-e-shahr aaj
kahte hain husn-e-yusuf-e-kanan-e-misr se
behosh kuchh hui hain hasinan-e-shahr aaj
sab taliyan bajaen to ho KHatm ye ghazal
'safwat' ke sath mil ke jawanan-e-shahr aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.