KHushbu ka jism yaad ka paikar nahin mila
ḳhushbū kā jism yaad kā paikar nahīñ milā
dil jis se ho shagufta vo manzar nahīñ milā
āḳhir bujhātā kaise vo apnī lahū kī pyaas
talvār mil ga.ī to koī sar nahīñ milā
nāgāh dostoñ kī taraf uTh ga.ī nigāh
jab dushmanoñ ke haath meñ ḳhanjar nahīñ milā
phirtā huuñ kab se naqd-e-dil-o-jāñ liye hue
maiñ vo saḳhī huuñ jis ko gadāgar nahīñ milā
'tāhir' miTegā kaise ye be-chehragī kā ġham
vo sang huuñ jise koī aazar nahīñ milā
KHushbu ka jism yaad ka paikar nahin mila
dil jis se ho shagufta wo manzar nahin mila
aaKHir bujhata kaise wo apni lahu ki pyas
talwar mil gai to koi sar nahin mila
nagah doston ki taraf uTh gai nigah
jab dushmanon ke hath mein KHanjar nahin mila
phirta hun kab se naqd-e-dil-o-jaan liye hue
main wo saKHi hun jis ko gadagar nahin mila
'tahir' miTega kaise ye be-chehragi ka gham
wo sang hun jise koi aazar nahin mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.