KHushbu mere badan mein rachi hai KHalaon ki
ḳhushbū mire badan meñ rachī hai ḳhalāoñ kī
maiñ sair kar rahā huuñ abhī tak fazāoñ kī
mat rok apne lab pe nazar kī haqīqateñ
terī har ik sadā hai amānat havāoñ kī
hai kaun jo karegā sadāqat se mol-tol
qīmat talab karūñ bhī to kis se vafāoñ kī
uTThī haiñ is tarah se havādis kī āñdhiyāñ
miTTī meñ taab mil ga.ī rañgīñ qabāoñ kī
shahroñ meñ aa ke nuur ke sāñche meñ Dhal ga.ī
miTTī vahī ki raakh thī galiyoñ meñ gaañv kī
'betāb' aaj DhūñDne nikleñ kidhar amaañ
ab shahr shahr ban chukā bastī balāoñ kī
KHushbu mere badan mein rachi hai KHalaon ki
main sair kar raha hun abhi tak fazaon ki
mat rok apne lab pe nazar ki haqiqaten
teri har ek sada hai amanat hawaon ki
hai kaun jo karega sadaqat se mol-tol
qimat talab karun bhi to kis se wafaon ki
uTThi hain is tarah se hawadis ki aandhiyan
miTTi mein tab mil gai rangin qabaon ki
shahron mein aa ke nur ke sanche mein Dhal gai
miTTi wahi ki rakh thi galiyon mein ganw ki
'betab' aaj DhunDne niklen kidhar aman
ab shahr shahr ban chuka basti balaon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.