Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHushbu tere lahje ki mere fan mein basi hai

Obaidur Rahman

KHushbu tere lahje ki mere fan mein basi hai

Obaidur Rahman

MORE BYObaidur Rahman

    ḳhushbū tire lahje mire fan meñ basī hai

    ash’ār haiñ mere tirī āvāz ke saa.e

    daadī kahānī ko taraste haiñ ye bachche

    āñkhoñ meñ nahīñ duur talak niiñd ke saa.e

    jab jism pe ye jaan ho ik qarz sūrat

    allāh kisī dushman ko bhī ye din na dikhā.e

    phir taaza havāoñ pahuñch ruuh talak ho

    phir pyaar ke mausam ghaTā lauT ke aa.e

    ḳhat likkhūñ tumheñ yaad karūñ Thiik hai lekin

    kyā Thiik mire dil ko qarār aa.e na aa.e

    KHushbu tere lahje ki mere fan mein basi hai

    ash’ar hain mere teri aawaz ke sae

    dadi ki kahani ko taraste hain ye bachche

    aankhon mein nahin dur talak nind ke sae

    jab jism pe ye jaan ho ek qarz ki surat

    allah kisi dushman ko bhi ye din na dikhae

    phir taza hawaon ki pahunch ruh talak ho

    phir pyar ke mausam ki ghaTa lauT ke aae

    KHat likkhun tumhein yaad karun Thik hai lekin

    kya Thik mere dil ko qarar aae na aae

    Source :
    • Book : Aawaz Ke Saye (Poetry) (Pg. 95)
    • Author : Obaidur Rahman
    • Publication : Sehla Obaid (2001)
    • Edition : 2001
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now