KHushi aati hai jab bhi zindagi mein gham samajhte hain
KHushi aati hai jab bhi zindagi mein gham samajhte hain
Akhtar Ranchvi
MORE BYAkhtar Ranchvi
ḳhushī aatī hai jab bhī zindagī meñ ġham samajhte haiñ
'ajab ulTā zamāne kī ravish ko ham samajhte haiñ
mire zaḳhmoñ pe jo ashkoñ kā phāhā rakh diyā tum ne
mirī jaañ ham bhī is ko pyaar kā marham samajhte haiñ
na jaane ātish-e-furqat meñ ham kyoñ jalte rahte haiñ
na jī ko jī samajhte haiñ na dam ko dam samajhte haiñ
hamāre dil ko āḳhir chuTkiyoñ se kyoñ masalte ho
tumhārī is adā ko jān-e-jānāñ ham samajhte haiñ
tumhārī madh-bharī āñkhoñ se piine kī tamannā hai
tumhāre āñsuoñ ko ham to jām-e-jam samajhte haiñ
tumhāre husn kī rangīn adā.eñ dekh kar ham bhī
kabhī sho'la kabhī kāñTā kabhī shabnam samajhte haiñ
ye maanā shā'irī 'aḳhtar' kī shīrīnī se ḳhālī hai
magar lazzat hai jo is shā'irī meñ ham samajhte haiñ
KHushi aati hai jab bhi zindagi mein gham samajhte hain
'ajab ulTa zamane ki rawish ko hum samajhte hain
mere zaKHmon pe jo ashkon ka phaha rakh diya tum ne
meri jaan hum bhi is ko pyar ka marham samajhte hain
na jaane aatish-e-furqat mein hum kyon jalte rahte hain
na ji ko ji samajhte hain na dam ko dam samajhte hain
hamare dil ko aaKHir chuTkiyon se kyon masalte ho
tumhaari is ada ko jaan-e-jaanan hum samajhte hain
tumhaari madh-bhari aankhon se pine ki tamanna hai
tumhaare aansuon ko hum to jam-e-jam samajhte hain
tumhaare husn ki rangin adaen dekh kar hum bhi
kabhi sho'la kabhi kanTa kabhi shabnam samajhte hain
ye mana sha'iri 'aKHtar' ki shirini se KHali hai
magar lazzat hai jo is sha'iri mein hum samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.