KHushi apni na ab to lauTti malum hoti hai
ḳhushī apnī na ab to lauTtī mā'lūm hotī hai
unheñ mil kar unheñ kī ho ga.ī mā'lūm hotī hai
asīrān-e-qafas rone se kyā sayyād chhoḌegā
kisī ko kab kisī kī bekasī mā'lūm hotī hai
hamārī sāda-lauhī dekhiye rāh-e-mohabbat meñ
kisī kī dushmanī bhī dostī mā'lūm hotī hai
agar tum ne na pahchānā to kyā ab ranj-e-furqat meñ
mujhe apnī bhī sūrat ajnabī mā'lūm hotī hai
chale aao mirī tanhā.iyoñ par ḳhandāñ haiñ anjum
barastī aag sī ye chāñdnī mā'lūm hotī hai
kahīñ par baiTh kar ārām kī lo saañs nā-mumkin
mujhe ik qahr sī ye zindagī mā'lūm hotī hai
hazāroñ manzileñ tai ho ga.iiñ is ke tufail 'āfat'
mirī rahbar mirī dīvāngī mā'lūm hotī hai
KHushi apni na ab to lauTti ma'lum hoti hai
unhen mil kar unhen ki ho gai ma'lum hoti hai
asiran-e-qafas rone se kya sayyaad chhoDega
kisi ko kab kisi ki bekasi ma'lum hoti hai
hamari sada-lauhi dekhiye rah-e-mohabbat mein
kisi ki dushmani bhi dosti ma'lum hoti hai
agar tum ne na pahchana to kya ab ranj-e-furqat mein
mujhe apni bhi surat ajnabi ma'lum hoti hai
chale aao meri tanhaiyon par KHandan hain anjum
barasti aag si ye chandni ma'lum hoti hai
kahin par baiTh kar aaram ki lo sans na-mumkin
mujhe ek qahr si ye zindagi ma'lum hoti hai
hazaron manzilen tai ho gain is ke tufail 'afat'
meri rahbar meri diwangi ma'lum hoti hai
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 34)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.