KHushi de ke wo mujhko gham de rahe hain
ḳhushī de ke vo mujh ko ġham de rahe haiñ
musalsal fareb-e-karam de rahe haiñ
baḌā ḳhūbsūrat hai paimān-e-ulfat
mujhī ko vo merī qasam de rahe haiñ
ye tarz-e-mohabbat mubārak ho tum ko
tumheñ log dād-e-sitam de rahe haiñ
ye duniyā jinheñ rāhzan kah rahī hai
mirā saath to kam se kam de rahe haiñ
takalluf sahī duniyā vāloñ se tum ko
magar ab to āvāz ham de rahe haiñ
maiñ un kī javānī pe maa.il huuñ 'anjum'
mujhe log kyoñ jām-e-jam de rahe haiñ
KHushi de ke wo mujh ko gham de rahe hain
musalsal fareb-e-karam de rahe hain
baDa KHubsurat hai paiman-e-ulfat
mujhi ko wo meri qasam de rahe hain
ye tarz-e-mohabbat mubarak ho tum ko
tumhein log dad-e-sitam de rahe hain
ye duniya jinhen rahzan kah rahi hai
mera sath to kam se kam de rahe hain
takalluf sahi duniya walon se tum ko
magar ab to aawaz hum de rahe hain
main un ki jawani pe mail hun 'anjum'
mujhe log kyon jam-e-jam de rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.