KHushi ghami se mera wasta hi pahla hai
ḳhushī ġhamī se mirā vāsta hī pahlā hai
ki ḳhvāhishoñ kā abhī silsila hī pahlā hai
kise dimāġh tumheñ aañkh bhar ke dekh sake
tumhārī bazm meñ ye sar-phirā hī pahlā hai
mu'āf kījiye ādāb mujh ko aate nahīñ
badan ke saath mirā rābta hī pahlā hai
vo bhuul jā.egī mujh ko baḌī suhūlat se
maiñ kyā karūñ ki mirā tajraba hī pahlā hai
nahīñ hai 'ilm shab-e-hijr kaise kāTte haiñ
ki merā 'ishq mirā ratjagā hī pahlā hai
hazār log yahāñ aa.e hoñ magar 'anjum'
maqām dil meñ mire aap kā hī pahlā hai
KHushi ghami se mera wasta hi pahla hai
ki KHwahishon ka abhi silsila hi pahla hai
kise dimagh tumhein aankh bhar ke dekh sake
tumhaari bazm mein ye sar-phira hi pahla hai
mu'af kijiye aadab mujh ko aate nahin
badan ke sath mera rabta hi pahla hai
wo bhul jaegi mujh ko baDi suhulat se
main kya karun ki mera tajraba hi pahla hai
nahin hai 'ilm shab-e-hijr kaise kaTte hain
ki mera 'ishq mera ratjaga hi pahla hai
hazar log yahan aae hon magar 'anjum'
maqam dil mein mere aap ka hi pahla hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.