KHushi hai ye ki dar-o-baam bach gae ghar ke
KHushi hai ye ki dar-o-baam bach gae ghar ke
Harsh Kumar Bhatnagar
MORE BYHarsh Kumar Bhatnagar
ḳhushī hai ye ki dar-o-bām bach ga.e ghar ke
mare haiñ log magar kaafī mere lashkar ke
ḳharīdtā hai vo ġham bhī udhār logoñ se
jo kaam aatā hai mahfil meñ us suḳhanvar ke
sunā thā ye ki mohabbat meñ koī martā nahīñ
vo sab bhī Tuut ga.e jo bane the patthar ke
milegā kaise nishāñ mere qatl kā tum ko
dabī hai laash mirī biich meñ samundar ke
maiñ roz aatā huuñ ghar ḳhālī haath le kar jab
maiñ aa.ina bhī nahīñ dekh paatā hañs kar ke
KHushi hai ye ki dar-o-baam bach gae ghar ke
mare hain log magar kafi mere lashkar ke
KHaridta hai wo gham bhi udhaar logon se
jo kaam aata hai mahfil mein us suKHanwar ke
suna tha ye ki mohabbat mein koi marta nahin
wo sab bhi Tut gae jo bane the patthar ke
milega kaise nishan mere qatl ka tum ko
dabi hai lash meri bich mein samundar ke
main roz aata hun ghar KHali hath le kar jab
main aaina bhi nahin dekh pata hans kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.