KHushi ka dusra pahlu hai aur gham kya hai
ḳhushī kā dūsrā pahlū hai aur ġham kyā hai
nafas kī āmad-o-shud hī to hai ye dam kyā hai
paḌhā thā kātib-e-taqdīr kā likhā ham ne
tabhī chalā thā pata vaq.at-e-qalam kyā hai
koī bhī Thiik kabhī Thiik se nahīñ rakkhā
mujhe pata hī nahīñ besh kyā hai kam kyā hai
jhuke na yaar ke dar par to vo jabīñ kaisī
uThe na jānib-e-manzil to vo qadam kyā hai
kuchh aisā farq nahīñ e'tiqād kī saugand
mujhe ḳhabar hai yaqīñ kyā hai aur bharam kyā hai
yahī ki jhelūñgā hañs hañs ke sab masā.ib maiñ
mujhe pata hai jabīñ pe mirī raqam kyā hai
maiñ maañg maañg ke 'rāhat' duā.eñ samjhā huuñ
jahāñ meñ ġhair-aham kyā hai aur aham kyā hai
KHushi ka dusra pahlu hai aur gham kya hai
nafas ki aamad-o-shud hi to hai ye dam kya hai
paDha tha katib-e-taqdir ka likha hum ne
tabhi chala tha pata waqat-e-qalam kya hai
koi bhi Thik kabhi Thik se nahin rakkha
mujhe pata hi nahin besh kya hai kam kya hai
jhuke na yar ke dar par to wo jabin kaisi
uThe na jaanib-e-manzil to wo qadam kya hai
kuchh aisa farq nahin e'tiqad ki saugand
mujhe KHabar hai yaqin kya hai aur bharam kya hai
yahi ki jhelunga hans hans ke sab masaib main
mujhe pata hai jabin pe meri raqam kya hai
main mang mang ke 'rahat' duaen samjha hun
jahan mein ghair-aham kya hai aur aham kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.