ḳhushī kā ek lamha chāhiye thā
ghaḌī-bhar saath terā chāhiye thā
milā thā maiñ mahīnoñ baad tum se
tumheñ siine se lagnā chāhiye thā
maiñ duniyā ghūmne bekār niklā
tirī āñkhoñ ko taknā chāhiye thā
hamesha ham ne kī terī tamanna
hameñ kab tere jaisā chāhiye thā
tujhe sauñpā thā apnā aap maiñ ne
to phir mahfūz rakhnā chāhiye thā
use ahvāl batlānā hai apnā
koī zaḳhmī parinda chāhiye thā
tumhāre ishq ne maarā hai jis ko
mujhe vo shaḳhs zinda chāhiye thā
daġhā kar ke bhī kitne mutma.in ho
tumheñ to Duub marnā chāhiye thā
use baḳhshā gayā phir hijr jis ko
javānī meñ buḌhāpā chāhiye thā
sabhī achchhe hoñ kab chāhā thā maiñ ne
mujhe ik dost achchhā chāhiye thā
phañse haiñ ab vahī mushkil Dagar meñ
jinheñ āsān rasta chāhiye thā
koī beva ke dukh ko kyā samajhtā
sabhoñ ko ghar meñ hissa chāhiye thā
maiñ samjhā vo mirī ḳhātir khaḌī hai
magar us ko to rickshaw chāhiye thā
KHushi ka ek lamha chahiye tha
ghaDi-bhar sath tera chahiye tha
mila tha main mahinon baad tum se
tumhein sine se lagna chahiye tha
main duniya ghumne bekar nikla
teri aankhon ko takna chahiye tha
hamesha hum ne ki teri tamanna
hamein kab tere jaisa chahiye tha
tujhe saunpa tha apna aap main ne
to phir mahfuz rakhna chahiye tha
use ahwal batlana hai apna
koi zaKHmi parinda chahiye tha
tumhaare ishq ne mara hai jis ko
mujhe wo shaKHs zinda chahiye tha
dagha kar ke bhi kitne mutmain ho
tumhein to Dub marna chahiye tha
use baKHsha gaya phir hijr jis ko
jawani mein buDhapa chahiye tha
sabhi achchhe hon kab chaha tha main ne
mujhe ek dost achchha chahiye tha
phanse hain ab wahi mushkil Dagar mein
jinhen aasan rasta chahiye tha
koi bewa ke dukh ko kya samajhta
sabhon ko ghar mein hissa chahiye tha
main samjha wo meri KHatir khaDi hai
magar us ko to rickshaw chahiye tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.