KHushi ke aansuon se dard ka rishta nahin rahta
ḳhushī ke āñsuoñ se dard kā rishta nahīñ rahtā
jahāñ pyāse nahīñ rahte vahāñ dariyā nahīñ rahtā
zamāna DhūñDhtā phirtā hai jis ko chāñd tāroñ meñ
vo mere dil meñ rahtā hai vo be-parda nahīñ rahtā
umīdoñ ke sitāre jhilmilā kar Duub jaate haiñ
nazar ke sāmne jab chāñd sā chehra nahīñ rahtā
na jaane kitnī tasvīreñ bigaḌtī haiñ ubhartī haiñ
kabhī fursat meñ apne dil kā ā.īna nahīñ rahtā
vo patjhaḌ kā zamāna ho yā vo sāvan kī rāteñ hoñ
marīz-e-dil kisī mausam meñ bhī achchhā nahīñ rahtā
KHushi ke aansuon se dard ka rishta nahin rahta
jahan pyase nahin rahte wahan dariya nahin rahta
zamana DhunDhta phirta hai jis ko chand taron mein
wo mere dil mein rahta hai wo be-parda nahin rahta
umidon ke sitare jhilmila kar Dub jate hain
nazar ke samne jab chand sa chehra nahin rahta
na jaane kitni taswiren bigaDti hain ubharti hain
kabhi fursat mein apne dil ka aaina nahin rahta
wo patjhaD ka zamana ho ya wo sawan ki raaten hon
mariz-e-dil kisi mausam mein bhi achchha nahin rahta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.