KHushi ke chand tarashe na mai nashat ki pi
ḳhushī ke chāñd tarāshe na mai nashāt kī pī
udāsiyoñ ke ghane jangaloñ meñ 'umr kaTī
hamāre ḳhuun se raushan haiñ mehr-o-mah ke charāġh
ruḳh-e-hayāt ko ham ne hī tāzgī baḳhshī
musāfiroñ se kaho raat ke fareb na khā.eñ
fasīl-e-shab se pare hai sahar umīdoñ kī
ye chāñd ban ke farozāñ hai kaun mere liye
mire vajūd pe chhā.ī hai raushnī kis kī
'shakīl' pahre biThā.e ga.e haiñ nutq pe jab
mirī ġhazal mire hālāt kī zabān banī
KHushi ke chand tarashe na mai nashat ki pi
udasiyon ke ghane jangalon mein 'umr kaTi
hamare KHun se raushan hain mehr-o-mah ke charagh
ruKH-e-hayat ko hum ne hi tazgi baKHshi
musafiron se kaho raat ke fareb na khaen
fasil-e-shab se pare hai sahar umidon ki
ye chand ban ke farozan hai kaun mere liye
mere wajud pe chhai hai raushni kis ki
'shakil' pahre biThae gae hain nutq pe jab
meri ghazal mere haalat ki zaban bani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.