KHushi ke daur-daure se hai yan ranj-o-mehan pahle
KHushi ke daur-daure se hai yan ranj-o-mehan pahle
Vinayak Damodar Savarkar
MORE BYVinayak Damodar Savarkar
Interesting Fact
This ghazal was composed during Savarkar's imprisonment at Cellular Jail, Andaman.
ḳhushī ke daur-daure se hai yaañ rañj-o-mehan pahle
bahār aatī hai pīchhe aur ḳhizāñ gird-e-chaman pahle
muhibbān-e-vatan hoñge hazāroñ be-vatan pahle
phalegā hind pīchhe aur bharegā andaman pahle
abhī me'rāj kā kyā zikr ye pahlī hī manzil hai
hazāroñ manzileñ karnī haiñ tai ham ko kaThan pahle
munavvar anjuman hotī hai mahfil garm hotī hai
magar kab jab ke ḳhud jaltī hai sham'-e-anjuman pahle
hamārā hind bhī phūle phalegā ek din lekin
mileñge ḳhaak meñ lākhoñ hamāre gul-badan pahle
unhīñ ke sar rahā sehrā unhīñ ko taaj qurbāñ ho
jinhoñne phaaḌ kar kapḌe rakhā sar par kafan pahle
na ho kuchh ḳhauf marne kā na ho kuchh fikr jiine kī
agar ai ham-damoñ man meñ lagī ho ye lagan pahle
hamārā hind bhī europe se le jā.egā baazī
tilak jaise muhibbān-e-vatan hoñ indian pahle
na sehat kī kareñ parvā na ham daulat ke tālib hoñ
kareñ sab mulk par qurbān tan man aur dhan pahle
hameñ dukh bhognā lekin hamārī nasleñ sukh paa.eñ
ye man meñ Thaan leñ apne ye hindī mard-o-zan pahle
musībat aa qayāmat aa kahāñ zanjīr-o-zindāñ haiñ
yahāñ tayyār baiThe haiñ ġharībān-e-vatan pahle
KHushi ke daur-daure se hai yan ranj-o-mehan pahle
bahaar aati hai pichhe aur KHizan gird-e-chaman pahle
muhibban-e-watan honge hazaron be-watan pahle
phalega hind pichhe aur bharega andaman pahle
abhi me'raj ka kya zikr ye pahli hi manzil hai
hazaron manzilen karni hain tai hum ko kaThan pahle
munawwar anjuman hoti hai mahfil garm hoti hai
magar kab jab ke KHud jalti hai sham'-e-anjuman pahle
hamara hind bhi phule phalega ek din lekin
milenge KHak mein lakhon hamare gul-badan pahle
unhin ke sar raha sehra unhin ko taj qurban ho
jinhonne phaD kar kapDe rakha sar par kafan pahle
na ho kuchh KHauf marne ka na ho kuchh fikr jine ki
agar ai ham-damon man mein lagi ho ye lagan pahle
hamara hind bhi europe se le jaega bazi
tilak jaise muhibban-e-watan hon indian pahle
na sehat ki karen parwa na hum daulat ke talib hon
karen sab mulk par qurban tan man aur dhan pahle
hamein dukh bhogna lekin hamari naslen sukh paen
ye man mein Than len apne ye hindi mard-o-zan pahle
musibat aa qayamat aa kahan zanjir-o-zindan hain
yahan tayyar baiThe hain ghariban-e-watan pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.