KHushi ke din hon to ujla libas sab pahnen
ḳhushī ke din hoñ to ujlā libās sab pahneñ
aur ek ham ki vahī jāma-e-tā.ab pahneñ
utāreñ apne badan se akele-pan kī dhuup
kisī nigāh ko oḌheñ kisī ke lab pahneñ
ba-vaqt-e-subah pahan leñge phir labāda-e-ḳhushk
nam-e-visāl hī achchhā hai shab kī shab pahneñ
ḳharīdā aur sulāyā bhī istirī bhī kiyā
magar samajh nahīñ aatī vo suiT kab pahneñ
ajiib in ke ravayyoñ meñ bad-tamīzī hai
ye ahl-e-shahr kabhī jāma-e-adab pahneñ
pahanñe kī hameñ āzādī mil rahī hai magar
samāj jis ko samajhtā hai mā-vajab pahneñ
hamāre dil ne gavārā nahīñ kiyā 'yāvar'
ham us ke hijr meñ pairāhan-e-tarab pahneñ
KHushi ke din hon to ujla libas sab pahnen
aur ek hum ki wahi jama-e-taab pahnen
utaren apne badan se akele-pan ki dhup
kisi nigah ko oDhen kisi ke lab pahnen
ba-waqt-e-subah pahan lenge phir labaada-e-KHushk
nam-e-visal hi achchha hai shab ki shab pahnen
KHarida aur sulaya bhi istiri bhi kiya
magar samajh nahin aati wo suiT kab pahnen
ajib in ke rawayyon mein bad-tamizi hai
ye ahl-e-shahr kabhi jama-e-adab pahnen
pahanne ki hamein aazadi mil rahi hai magar
samaj jis ko samajhta hai ma-wajab pahnen
hamare dil ne gawara nahin kiya 'yawar'
hum us ke hijr mein pairahan-e-tarab pahnen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.