KHushi ke sath abhi gham ka nam baqi hai
ḳhushī ke saath abhī ġham kā naam baaqī hai
tabhī to silsila-e-sub.h-o-shām baaqī hai
na jaane kitne hue qatl tere abrū se
mazīd aur bhī kyā qatl-e-ām baaqī hai
hamārī yaad jo pīchhā kare samajh lenā
tumhāre dil maiñ vafā kā maqām baaqī hai
na rok mutrib-e-gulfām saaz ko apne
abhī to gardish-e-mīnā-o-jām baaqī hai
zarā sī pī ke bahakte ho kis liye rindo
abhī sharāb abhī daur-e-jām baaqī hai
firāq-e-yār maiñ ashkoñ kā merī mizhgāñ par
ḳhudā ke fazl se raqs-e-davām baaqī hai
chaman ke ġhuncha-o-gul meñ bhī aaj tak 'ḳhākī'
vahī tabassum-e-mast-e-ḳhirām baaqī hai
KHushi ke sath abhi gham ka nam baqi hai
tabhi to silsila-e-subh-o-sham baqi hai
na jaane kitne hue qatl tere abru se
mazid aur bhi kya qatl-e-am baqi hai
hamari yaad jo pichha kare samajh lena
tumhaare dil main wafa ka maqam baqi hai
na rok mutrib-e-gulfam saz ko apne
abhi to gardish-e-mina-o-jam baqi hai
zara si pi ke bahakte ho kis liye rindo
abhi sharab abhi daur-e-jam baqi hai
firaq-e-yar main ashkon ka meri mizhgan par
KHuda ke fazl se raqs-e-dawam baqi hai
chaman ke ghuncha-o-gul mein bhi aaj tak 'KHaki'
wahi tabassum-e-mast-e-KHiram baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.