KHushi ke waqt bhi wo lag raha tha roya hua
ḳhushī ke vaqt bhī vo lag rahā thā royā huā
thā bāġh-e-vasl meñ furqat kā biij boyā huā
vo raat ḳhvāb meñ aaya huā thā milne mujhe
mirā nasīb thā bedār maiñ thā soyā huā
nayā libās kafan thoḌī hai jo mil jaa.e
so ham ne iid pe pahnā libās dhoyā huā
vo mere sāmne hai aur phone meñ gum hai
milā hai barsoñ kā khoyā huā bhī khoyā huā
tū jis kī laash ko ab jhiil se nikāltā hai
vo bahr-e-ġham meñ thā pahle tirā Duboyā huā
sitamgaro ye sazāoñ kī fasl kaaTo ab
kisī ne ḳhuun se thā inqalāb boyā huā
tū yuuñ samajhtā hai haqdār ḳhud ko shohrat kā
tujhe mare hue arsa 'nabīl' goyā huā
KHushi ke waqt bhi wo lag raha tha roya hua
tha bagh-e-wasl mein furqat ka bij boya hua
wo raat KHwab mein aaya hua tha milne mujhe
mera nasib tha bedar main tha soya hua
naya libas kafan thoDi hai jo mil jae
so hum ne id pe pahna libas dhoya hua
wo mere samne hai aur phone mein gum hai
mila hai barson ka khoya hua bhi khoya hua
tu jis ki lash ko ab jhil se nikalta hai
wo bahr-e-gham mein tha pahle tera Duboya hua
sitamgaro ye sazaon ki fasl kaTo ab
kisi ne KHun se tha inqalab boya hua
tu yun samajhta hai haqdar KHud ko shohrat ka
tujhe mare hue arsa 'nabil' goya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.