KHushi KHushbu KHuda ki ro rahi hai
ḳhushī ḳhushbū ḳhudā kī ro rahī hai
qazā kis kī kahānī ho rahī hai
hamāre shahr kī tasvīr hai ye
qayāmat baal khole so rahī hai
lahū kā naam sunte hī safedī
hathelī be-irāda dho rahī hai
vo merā ashk yā terī hañsī ho
kashish har shai barābar kho rahī hai
na jaane kis ḳhatā par apnī bastī
janāze par janāza Dho rahī hai
kahī jaatī nahīñ 'ḳhurshīd-akbar'
ġhazal meñ apnī kāvish jo rahī hai
KHushi KHushbu KHuda ki ro rahi hai
qaza kis ki kahani ho rahi hai
hamare shahr ki taswir hai ye
qayamat baal khole so rahi hai
lahu ka nam sunte hi safedi
hatheli be-irada dho rahi hai
wo mera ashk ya teri hansi ho
kashish har shai barabar kho rahi hai
na jaane kis KHata par apni basti
janaze par janaza Dho rahi hai
kahi jati nahin 'KHurshid-akbar'
ghazal mein apni kawish jo rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.