KHushi ki bazm mein ranj-o-mehan ki baat karta hun
ḳhushī kī bazm meñ ranj-o-mehan kī baat kartā huuñ
tahī hai jaam sahbā-e-kuhan kī baat kartā huuñ
na ḳhāroñ se mujhe nafrat na phūloñ se mujhe ulfat
ḳhizāñ jis meñ na aa.e us chaman kī baat kartā huuñ
mire dil meñ bhī ik sho'la mohabbat kā farozāñ hai
maiñ kahne ko to qais-o-kohkan kī baat kartā huuñ
mire afsāna-e-ġham meñ har ik kā qissa-e-ġham hai
maiñ apnī baat kyā ik anjuman kī baat kartā huuñ
mirī hiddat nahīñ 'sājid' zamāne kā taqāza hai
jo maiñ apnī ġhazal meñ fikr-o-fan kī baat kartā huuñ
KHushi ki bazm mein ranj-o-mehan ki baat karta hun
tahi hai jam sahba-e-kuhan ki baat karta hun
na KHaron se mujhe nafrat na phulon se mujhe ulfat
KHizan jis mein na aae us chaman ki baat karta hun
mere dil mein bhi ek sho'la mohabbat ka farozan hai
main kahne ko to qais-o-kohkan ki baat karta hun
mere afsana-e-gham mein har ek ka qissa-e-gham hai
main apni baat kya ek anjuman ki baat karta hun
meri hiddat nahin 'sajid' zamane ka taqaza hai
jo main apni ghazal mein fikr-o-fan ki baat karta hun
- Book : Dard aashna (Pg. 88)
- Author : Abdullah Sajid
- Publication : Abdullah Sajid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.