Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHushi ki had ghamon ki intiha malum hoti hai

Muneer Bhopali

KHushi ki had ghamon ki intiha malum hoti hai

Muneer Bhopali

MORE BYMuneer Bhopali

    ḳhushī had ġhamoñ intihā mālūm hotī hai

    ḳhudā jaane mohabbat kyā hai kyā mālūm hotī hai

    jahāñ zarra zarra yuuñ to zer-e-hukm-e-fitrat hai

    magar ye husn duniyā judā mālūm hotī hai

    tavaqqo un ke aane na ummīd-e-ajal phir kyoñ

    har ik hasrat tabassum-āshnā mālūm hotī hai

    baḌī halchal machī hai aaj dil vāloñ duniyā meñ

    tirī nazroñ meñ shān-e-iltijā mālūm hotī hai

    sanā-e-husn tausīf-e-adā tārīf-e-dil-jūī

    ye sab tamhīd-e-arz-e-mudda.ā mālūm hotī hai

    ye takmīl-e-mohabbat hai ki taufīq-e-ḳhudāvandī

    mujhe har intihā ab ibtidā mālūm hotī hai

    agar maa.il ba-pastī hai mohabbat abd-e-āsī hai

    jo us rif.ateñ dekho ḳhudā mālūm hotī hai

    bas ai chashm-e-talattuf bas ki dard-e-āshnā ho kar

    mire jazbāt se nā-āshnā mālūm hotī hai

    mohabbat ek hai lekin asar ziddain rakhtī hai

    kahīñ rahzan kisī rahnumā mālūm hotī hai

    jigar TukḌe huā jaatā hai har āvāz par us

    'munīr'-e-be-navā ye sadā ma.alūm hotī hai

    KHushi ki had ghamon ki intiha malum hoti hai

    KHuda jaane mohabbat kya hai kya malum hoti hai

    jahan ka zarra zarra yun to zer-e-hukm-e-fitrat hai

    magar ye husn ki duniya juda malum hoti hai

    tawaqqo un ke aane ki na ummid-e-ajal phir kyon

    har ek hasrat tabassum-ashna malum hoti hai

    baDi halchal machi hai aaj dil walon ki duniya mein

    teri nazron mein shan-e-iltija malum hoti hai

    sana-e-husn tausif-e-ada tarif-e-dil-jui

    ye sab tamhid-e-arz-e-muddaa malum hoti hai

    ye takmil-e-mohabbat hai ki taufiq-e-KHudawandi

    mujhe har intiha ab ibtida malum hoti hai

    agar mail ba-pasti hai mohabbat abd-e-asi hai

    jo us ki rifaten dekho KHuda malum hoti hai

    bas ai chashm-e-talattuf bas ki dard-e-ashna ho kar

    mere jazbaat se na-ashna malum hoti hai

    mohabbat ek hai lekin asar ziddain rakhti hai

    kahin rahzan kisi ja rahnuma malum hoti hai

    jigar TukDe hua jata hai har aawaz par us ki

    'munir'-e-be-nawa ki ye sada malum hoti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now