KHushi ki rah mein gham ki rifaqat leni paDti hai
KHushi ki rah mein gham ki rifaqat leni paDti hai
Fazal Haq Azimabadi
MORE BYFazal Haq Azimabadi
ḳhushī kī raah meñ ġham kī rifāqat lenī paḌtī hai
talāsh-e-gul meñ ḳhāroñ se adāvat lenī paḌtī hai
gale kā haar banñā ḳhush-nasībī hai magar logo
guloñ se pūchh lo kyā kyā aziyyat lenī paḌtī hai
nahīñ ab raas aatī hai fazā gulshan kī bulbul ko
yahāñ lab kholne kī bhī ijāzat lenī paḌtī hai
jahāñ har sū luTeroñ rahzanoñ kā hī baserā hai
vahāñ baiThe-biThā.e bhī musībat lenī paḌtī hai
zamāne kī taraqqī kā yahī anjām hai shāyad
miyāñ 'shāhid' ko beToñ se nasīhat lenī paḌtī hai
KHushi ki rah mein gham ki rifaqat leni paDti hai
talash-e-gul mein KHaron se adawat leni paDti hai
gale ka haar banna KHush-nasibi hai magar logo
gulon se puchh lo kya kya aziyyat leni paDti hai
nahin ab ras aati hai faza gulshan ki bulbul ko
yahan lab kholne ki bhi ijazat leni paDti hai
jahan har su luTeron rahzanon ka hi basera hai
wahan baiThe-biThae bhi musibat leni paDti hai
zamane ki taraqqi ka yahi anjam hai shayad
miyan 'shahid' ko beTon se nasihat leni paDti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.