KHushi ki saaten gham ki faza na ras aai
ḳhushī kī sā.ateñ ġham kī fazā na raas aa.ī
ki zindagī ko koī bhī adā na raas aa.ī
jise talāsh kiyā ḳhud ko bhuul kar ham ne
usī jazīre kī āb-o-havā na raas aa.ī
parā.e ghar ke makīnoñ se kyā gila shikva
hameñ to apne hī ghar kī fazā na raas aa.ī
vahī huā ki tirā haath tujh se maañg liyā
mohabbatoñ ke safar meñ anā na raas aa.ī
ka.ī charāġh haiñ raushan fasīl-e-shab pe magar
ka.ī charāġhoñ ko taaza havā na raas aa.ī
barahna karne lagī inqalāb kī āñdhī
qabā-e-jāh-o-hasham bhī zarā na raas aa.ī
hujūm-e-shahr meñ har aadmī akelā hai
yahāñ kisī ko kisī kī vafā na raas aa.ī
vo qabr jaise makānoñ meñ kaise zinda haiñ
jinheñ kushāda gharoñ kī fazā na raas aa.ī
KHushi ki saaten gham ki faza na ras aai
ki zindagi ko koi bhi ada na ras aai
jise talash kiya KHud ko bhul kar hum ne
usi jazire ki aab-o-hawa na ras aai
parae ghar ke makinon se kya gila shikwa
hamein to apne hi ghar ki faza na ras aai
wahi hua ki tera hath tujh se mang liya
mohabbaton ke safar mein ana na ras aai
kai charagh hain raushan fasil-e-shab pe magar
kai charaghon ko taza hawa na ras aai
barahna karne lagi inqalab ki aandhi
qaba-e-jah-o-hasham bhi zara na ras aai
hujum-e-shahr mein har aadmi akela hai
yahan kisi ko kisi ki wafa na ras aai
wo qabr jaise makanon mein kaise zinda hain
jinhen kushada gharon ki faza na ras aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.