KHushi mile na mile gham se pyar karte hain
KHushi mile na mile gham se pyar karte hain
Kanta Grover Shabnam
MORE BYKanta Grover Shabnam
ḳhushī mile na mile ġham se pyaar karte haiñ
vafā kī raah se ham is tarah guzarte haiñ
hameñ ḳhabar hai terā lauTnā nahīñ mumkin
magar ham ab bhī tirā intizār karte haiñ
safīne dāman-e-sāhil meñ Duub jaate haiñ
jo hausla ho to tūfāñ meñ bhī ubharte haiñ
maiñ aa.ina huuñ haqīqat kā zehn kā dil kā
agar maiñ sāmne aa.uuñ to log Darte haiñ
sharāb-ḳhāne kā rasta baḌā muqaddas hai
janāb-e-shaiḳh bhī is raah se guzarte haiñ
guloñ ke zaḳhm bhareñ kaise ashk-e-'shabnam' se
guloñ ke zaḳhm to ḳhūn-e-jigar se bharte haiñ
KHushi mile na mile gham se pyar karte hain
wafa ki rah se hum is tarah guzarte hain
hamein KHabar hai tera lauTna nahin mumkin
magar hum ab bhi tera intizar karte hain
safine daman-e-sahil mein Dub jate hain
jo hausla ho to tufan mein bhi ubharte hain
main aaina hun haqiqat ka zehn ka dil ka
agar main samne aaun to log Darte hain
sharab-KHane ka rasta baDa muqaddas hai
janab-e-shaiKH bhi is rah se guzarte hain
gulon ke zaKHm bharen kaise ashk-e-'shabnam' se
gulon ke zaKHm to KHun-e-jigar se bharte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.