KHushi ne mujhko Thukraya hai dard-o-gham ne pala hai
KHushi ne mujhko Thukraya hai dard-o-gham ne pala hai
Ali Ahmad Jalili
MORE BYAli Ahmad Jalili
ḳhushī ne mujh ko Thukrāyā hai dard-o-ġham ne paalā hai
guloñ ne be-ruḳhī kī hai to kāñToñ ne sambhālā hai
mohabbat meñ ḳhayāl-e-sāhil-o-manzil hai nādānī
jo in rāhoñ meñ luT jaa.e vahī taqdīr vaalā hai
jahāñ bhar ko matā-e-lāla-o-gul baḳhshne vaalo
hamāre dil kā kāñTā bhī kabhī tum ne nikālā hai
kināroñ se mujhe ai nā-ḳhudāo duur hī rakhnā
vahāñ le kar chalo tūfāñ jahāñ se uThne vaalā hai
charāġhāñ kar ke dil bahlā rahe ho kyā jahāñ vaalo
añdherā laakh raushan ho ujālā phir ujālā hai
nasheman hī ke luT jaane kā ġham hotā to ġham kyā thā
yahāñ to bechne vāloñ ne gulshan bech Daalā hai
KHushi ne mujh ko Thukraya hai dard-o-gham ne pala hai
gulon ne be-ruKHi ki hai to kanTon ne sambhaala hai
mohabbat mein KHayal-e-sahil-o-manzil hai nadani
jo in rahon mein luT jae wahi taqdir wala hai
jahan bhar ko mata-e-lala-o-gul baKHshne walo
hamare dil ka kanTa bhi kabhi tum ne nikala hai
kinaron se mujhe ai na-KHudao dur hi rakhna
wahan le kar chalo tufan jahan se uThne wala hai
charaghan kar ke dil bahla rahe ho kya jahan walo
andhera lakh raushan ho ujala phir ujala hai
nasheman hi ke luT jaane ka gham hota to gham kya tha
yahan to bechne walon ne gulshan bech Dala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.