KHushi se khel gae hum qaza ke daman par
KHushi se khel gae hum qaza ke daman par
Haji Shafiullah Shafi Bahraichi
MORE BYHaji Shafiullah Shafi Bahraichi
ḳhushī se khel ga.e ham qazā ke dāman par
ki harf aane na paa.e vafā ke dāman par
hamāre ḳhuun ke qatre girā ke dāman par
ik aur daaġh lagāyā vafā ke dāman par
ilāhī aisī ghaTā mai-kade meñ chhā jaa.e
ki tauba TuuTe mirī pārsā ke dāman par
qudūm-e-nāz kā ehsāñ pas-e-fanā bhī rahā
uḌaa.ī ḳhāk-e-lahad bhī havā ke dāman par
bhalā miTā.e se miTtā bhī hai nishān us kā
hazār ḳhaak vo Dāleñ vafā ke dāman par
na bach sakā hai koī aur na bach sakegā koī
hai qabza maut kā shāh-o-gadā ke dāman par
mire karīm ne aisā mujhe navāz diyā
machal rahī hai ijābat duā ke dāman par
tire karam ne banāyā hamārī bigḌī ko
vagarna daaġh the lākhoñ ḳhatā ke dāman par
'shafī.a' jāma-e-hastī bhī tār-tār kiyā
junūñ ne haath ko apne baḌhā ke dāman par
KHushi se khel gae hum qaza ke daman par
ki harf aane na pae wafa ke daman par
hamare KHun ke qatre gira ke daman par
ek aur dagh lagaya wafa ke daman par
ilahi aisi ghaTa mai-kade mein chha jae
ki tauba TuTe meri parsa ke daman par
qudum-e-naz ka ehsan pas-e-fana bhi raha
uDai KHak-e-lahad bhi hawa ke daman par
bhala miTae se miTta bhi hai nishan us ka
hazar KHak wo Dalen wafa ke daman par
na bach saka hai koi aur na bach sakega koi
hai qabza maut ka shah-o-gada ke daman par
mere karim ne aisa mujhe nawaz diya
machal rahi hai ijabat dua ke daman par
tere karam ne banaya hamari bigDi ko
wagarna dagh the lakhon KHata ke daman par
'shafia' jama-e-hasti bhi tar-tar kiya
junun ne hath ko apne baDha ke daman par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.