KHushi zaruri nahin sirf zindagi ke liye
ḳhushī zarūrī nahīñ sirf zindagī ke liye
matā-e-ġham bhī zarūrī hai aadmī ke liye
na hogā rā.egāñ us shaḳhs kā koī sajda
jo dil se sar ko jhukātā hai bandagī ke liye
ye kaisī aag lagā.ī hai nafratoñ kī yahāñ
taras rahā hai har ik shaḳhs ik hañsī ke liye
pata nahīñ tumheñ ye kaam kitnā mushkil hai
rah-e-vafā meñ nikal aa.e āshiqī ke liye
tū be-naqāb sar-e-bazm sāqiyā aa jā
taras rahī hai mirī aañkh mai-kashī ke liye
tumhārī yaad kī ḳhushbū milī mujhe har pal
uThāyā jab bhī qalam maiñ ne shā.erī ke liye
had-e-nigāh yahāñ dhuup hī kā sahrā hai
'hirā' batāo kahāñ jaa.eñ tishnagī ke liye
KHushi zaruri nahin sirf zindagi ke liye
mata-e-gham bhi zaruri hai aadmi ke liye
na hoga raegan us shaKHs ka koi sajda
jo dil se sar ko jhukata hai bandagi ke liye
ye kaisi aag lagai hai nafraton ki yahan
taras raha hai har ek shaKHs ek hansi ke liye
pata nahin tumhein ye kaam kitna mushkil hai
rah-e-wafa mein nikal aae aashiqi ke liye
tu be-naqab sar-e-bazm saqiya aa ja
taras rahi hai meri aankh mai-kashi ke liye
tumhaari yaad ki KHushbu mili mujhe har pal
uThaya jab bhi qalam main ne shaeri ke liye
had-e-nigah yahan dhup hi ka sahra hai
'hira' batao kahan jaen tishnagi ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.