KHushiyan hon sirf jis mein ye gham ka dhuan na ho
ḳhushiyāñ hoñ sirf jis meñ ye ġham kā dhuāñ na ho
koī zamīñ nahīñ hai jahāñ āsmāñ na ho
us ko bhī sīñche hai ḳhudā rahmat kī chhāñv meñ
duniyā meñ jis chaman kā koī bāġhbāñ na ho
phirtī ho dar-ba-dar sī mirī hasrato kahāñ
koī tumhāre jaisā yahāñ be-makāñ na ho
lāzim hai ehtijāj havāoñ kā is liye
zulmat kī rah-guzar pe koī kārvāñ na ho
nafrat kī aag meñ jo usūloñ ko jhoñk de
aisā bhī masnadoñ pe koī hukmarāñ na ho
qaa.em karo yahāñ na.ī ulfat ke silsile
rāhoñ meñ vahshatoñ kā ye nām-o-nishāñ na ho
'ābid' jalāo pyaar kī sham'oñ ko har taraf
in nafratoñ meñ taaki koī bad-gumāñ na ho
KHushiyan hon sirf jis mein ye gham ka dhuan na ho
koi zamin nahin hai jahan aasman na ho
us ko bhi sinche hai KHuda rahmat ki chhanw mein
duniya mein jis chaman ka koi baghban na ho
phirti ho dar-ba-dar si meri hasrato kahan
koi tumhaare jaisa yahan be-makan na ho
lazim hai ehtijaj hawaon ka is liye
zulmat ki rah-guzar pe koi karwan na ho
nafrat ki aag mein jo usulon ko jhonk de
aisa bhi masnadon pe koi hukmaran na ho
qaem karo yahan nai ulfat ke silsile
rahon mein wahshaton ka ye nam-o-nishan na ho
'abid' jalao pyar ki sham'on ko har taraf
in nafraton mein taki koi bad-guman na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.