KHushiyon ka intizar tha wo bhi nahin raha
ḳhushiyoñ kā intizār thā vo bhī nahīñ rahā
zaḳhmoñ pe bhī nikhār thā vo bhī nahīñ rahā
terā mirā qarār thā vo bhī nahīñ rahā
bas pyaar pyaar pyaar thā vo bhī nahīñ rahā
āñkhoñ meñ jab se bebasī un ke dikhā.ī dī
kuchh kuchh hameñ ḳhumār thā vo bhī nahīñ rahā
yā-rab pata nahīñ vo ḳhafā kis liye hue
kuchh dil pe iḳhtiyār thā vo bhī nahīñ rahā
duniyā ne dil pe bijliyāñ jab se girā.ī haiñ
dil hai ki ġham-gusār thā vo bhī nahīñ rahā
toḌoge dil 'dharam' kā kahegā ye vaqt phir
jo shaḳhs be-qarār thā vo bhī nahīñ rahā
KHushiyon ka intizar tha wo bhi nahin raha
zaKHmon pe bhi nikhaar tha wo bhi nahin raha
tera mera qarar tha wo bhi nahin raha
bas pyar pyar pyar tha wo bhi nahin raha
aankhon mein jab se bebasi un ke dikhai di
kuchh kuchh hamein KHumar tha wo bhi nahin raha
ya-rab pata nahin wo KHafa kis liye hue
kuchh dil pe iKHtiyar tha wo bhi nahin raha
duniya ne dil pe bijliyan jab se girai hain
dil hai ki gham-gusar tha wo bhi nahin raha
toDoge dil 'dharam' ka kahega ye waqt phir
jo shaKHs be-qarar tha wo bhi nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.