KHushiyon ke samne jo mere pesh gham hue
KHushiyon ke samne jo mere pesh gham hue
Shahrukh Sahil Tulsipuri
MORE BYShahrukh Sahil Tulsipuri
ḳhushiyoñ ke sāmne jo mire pesh ġham hue
ashkoñ meñ ġharq phir mire lauh-o-qalam hue
tum hī nahīñ firāq meñ ik dīda-nam hue
ham bhī tumhāre hijr meñ sar-tā-pā ġham hue
har shaḳhs kah rahā hai hameñ paikar-e-vafā
jab se tumhārī zulf ke dīvāne ham hue
tere baġhair kaise kaTī raat ye na pūchh
aayā havā kā jhoñkā to ḳhā.if se ham hue
ab kyā batā.ūñ yaar ki chhoTī sī 'umr meñ
kis tarh aur kitne haiñ mujh par sitam hue
KHushiyon ke samne jo mere pesh gham hue
ashkon mein gharq phir mere lauh-o-qalam hue
tum hi nahin firaq mein ek dida-nam hue
hum bhi tumhaare hijr mein sar-ta-pa gham hue
har shaKHs kah raha hai hamein paikar-e-wafa
jab se tumhaari zulf ke diwane hum hue
tere baghair kaise kaTi raat ye na puchh
aaya hawa ka jhonka to KHaif se hum hue
ab kya bataun yar ki chhoTi si 'umr mein
kis tarh aur kitne hain mujh par sitam hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.