KHushiyon ko DhunDne jo kabhi hum nikal paDe
ḳhushiyoñ ko DhūñDne jo kabhī ham nikal paḌe
ġham jitne ās-pās the sab saath chal paḌe
ik sard aah ne mirī aisā asar kiyā
us but ke dil meñ rahm ke chashme ubal paḌe
sikka thā bazm-e-dahr meñ jin kā kabhī ravāñ
be-nang-o-nām hoñge kahīñ āj-kal paḌe
insāñ to he vahī jo badal de havā kā ruḳh
insāñ vo kyā jo saath havāoñ ke chal paḌe
sahvan jo ham se zikr-e-vafā ho gayā kabhī
un kī jabīn-e-nāz pe kyā kyā na bal paḌe
ye bāñkpan ye husn ye mastī bharī adā
ḳhud tū bhī dekh le to tirā dil machal paḌe
apnā kahā thā hañs ke mujhe us ne ek baar
ab din ko chain aa.e na shab hī ko kal paḌe
dil hai vahī jo rakhtā ho tāb-e-jamāl-e-tūr
vo kyā jo ek jugnū kī lau par machal paḌe
taḌpā thā jis ḳhushī ke liye 'sehr' umr bhar
jab vo ḳhushī milī mire aañsū nikal paḌe
KHushiyon ko DhunDne jo kabhi hum nikal paDe
gham jitne aas-pas the sab sath chal paDe
ek sard aah ne meri aisa asar kiya
us but ke dil mein rahm ke chashme ubal paDe
sikka tha bazm-e-dahr mein jin ka kabhi rawan
be-nang-o-nam honge kahin aaj-kal paDe
insan to he wahi jo badal de hawa ka ruKH
insan wo kya jo sath hawaon ke chal paDe
sahwan jo hum se zikr-e-wafa ho gaya kabhi
un ki jabin-e-naz pe kya kya na bal paDe
ye bankpan ye husn ye masti bhari ada
KHud tu bhi dekh le to tera dil machal paDe
apna kaha tha hans ke mujhe us ne ek bar
ab din ko chain aae na shab hi ko kal paDe
dil hai wahi jo rakhta ho tab-e-jamal-e-tur
wo kya jo ek jugnu ki lau par machal paDe
taDpa tha jis KHushi ke liye 'sehr' umr bhar
jab wo KHushi mili mere aansu nikal paDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.