KHushiyon se mizajan koi yakjai nahin thi
ḳhushiyoñ se mizājan koī yakjā.ī nahīñ thī
kuchh ġham the magar un se shanāsā.ī nahīñ thī
paayā use ham ne jise khoyā hī nahīñ thā
aur kho ga.ī vo shai jo kabhī paa.ī nahīñ thī
hai yaad bahut tez chhanākā sā huā thā
phir der talak koī sadā aa.ī nahīñ thī
chehroñ meñ bhaTaktī huī is dil kī tabī'at
bechain to kah sakte ho harjā.ī nahīñ thī
ham ne to qasam khaa.ī thī boleñge na tum se
tum ne to koī aisī qasam khaa.ī nahīñ thī
bas dil thā hamārā ki jahāñ Duub sake ham
dil jitnī un āñkhoñ meñ bhī gahrā.ī nahīñ thī
KHushiyon se mizajan koi yakjai nahin thi
kuchh gham the magar un se shanasai nahin thi
paya use hum ne jise khoya hi nahin tha
aur kho gai wo shai jo kabhi pai nahin thi
hai yaad bahut tez chhanaka sa hua tha
phir der talak koi sada aai nahin thi
chehron mein bhaTakti hui is dil ki tabi'at
bechain to kah sakte ho harjai nahin thi
hum ne to qasam khai thi bolenge na tum se
tum ne to koi aisi qasam khai nahin thi
bas dil tha hamara ki jahan Dub sake hum
dil jitni un aankhon mein bhi gahrai nahin thi
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 72)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.