KHushk aankhon mein bahut hain abhi aansu baqi
ḳhushk āñkhoñ meñ bahut haiñ abhī aañsū baaqī
phuul sūkhe haiñ magar in meñ hai ḳhushbū baaqī
un kī zulfoñ ko chhue ek zamāna guzrā
aaj tak hai mire hāthoñ meñ vo ḳhushbū baaqī
sabr-o-taskīñ se jo mansūb the vo ḳhatm hue
dāman-e-dil meñ haiñ ab jabr ke aañsū baaqī
kyā tirī yaad kī ab ham se tavāzo' hogī
ab na baaqī hai lahū dil meñ na aañsū baaqī
roz-e-taḳhlīq jo āvāz sunī thī 'dānish'
us kā ab tak mirī rag-rag meñ hai jaadū baaqī
KHushk aankhon mein bahut hain abhi aansu baqi
phul sukhe hain magar in mein hai KHushbu baqi
un ki zulfon ko chhue ek zamana guzra
aaj tak hai mere hathon mein wo KHushbu baqi
sabr-o-taskin se jo mansub the wo KHatm hue
daman-e-dil mein hain ab jabr ke aansu baqi
kya teri yaad ki ab hum se tawazo' hogi
ab na baqi hai lahu dil mein na aansu baqi
roz-e-taKHliq jo aawaz suni thi 'danish'
us ka ab tak meri rag-rag mein hai jadu baqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.