Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHushk dararon wala dariya

Mehdi Jafar

KHushk dararon wala dariya

Mehdi Jafar

MORE BYMehdi Jafar

    ḳhushk darāroñ vaalā dariyā

    zer zamīñ hai baalā dariyā

    us ko baḌā raas aayā dariyā

    maiñ aur des nikālā dariyā

    lahroñ tahrīr kināre

    ret pe likkhā qissa dariyā

    aao ye afvāh uḌā.eñ

    ham ne ḳhvāb meñ dekhā dariyā

    tah meñ aksāñ naqsh-o-manāzir

    uupar shahr ke bahtā dariyā

    aaj bhī tere shahr haiñ pyāse

    ab bhī duur hai ḳhema dariyā

    pul par ġhota-ḳhor pale haiñ

    sikka bhārī halkā dariyā

    duur charāġh lau par zinda

    sarmā barfīlā dariyā

    apnā saaya DhūñD rahā huuñ

    shaam hai pal-bhar tham dariyā

    KHushk dararon wala dariya

    zer zamin hai baala dariya

    us ko baDa ras aaya dariya

    main aur des nikala dariya

    lahron ki tahrir kinare

    ret pe likkha qissa dariya

    aao ye afwah uDaen

    hum ne KHwab mein dekha dariya

    tah mein aksan naqsh-o-manazir

    upar shahr ke bahta dariya

    aaj bhi tere shahr hain pyase

    ab bhi dur hai KHema dariya

    pul par ghota-KHor pale hain

    sikka bhaari halka dariya

    dur charagh ki lau par zinda

    sarma ka barfila dariya

    apna saya DhunD raha hun

    sham hai pal-bhar tham ja dariya

    Source :
    • Book : Kimiya-e-samri (Pg. 14)
    • Author : Rujhan Publication
    • Publication : Rujhan Publication (1977)
    • Edition : 1977
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now