KHushk ho gain nahren peD jal chuke hain kya
ḳhushk ho ga.iiñ nahreñ peḌ jal chuke haiñ kyā
kuchh chaman the raste meñ dasht ho ga.e haiñ kyā
ek ek se pūchhā ham ne ek vahshat meñ
zindagī ke baare meñ aap jānte haiñ kyā
iltifāt mushkil hai baat to kiyā kiije
ham nahīñ bure itne itne hī bure haiñ kyā
apnī zindagānī ko aur rā.egānī ko
ham uThā.e phirte haiñ log dekhte haiñ kyā
yūñhī āte-jāte ho be-sabab satāte ho
sañg to nahīñ haiñ ham raah meñ paḌe haiñ kyā
ḳhvāb dekhne vaale mo'atabar hue kaise
ye purāne sikke yaañ phir se chal rahe haiñ kyā
sabr kar liyā jaa.e ab bhī jaane vāloñ par
pahle jaane vaale bhī vāpas aa sake haiñ kyā
ham ne ik tamannā kā rāsta chunā to hai
ek rāste meñ bhī aur rāste haiñ kyā
ishtiyāq kitnā thā aur firāq kitnā thā
jaane pūchhte haiñ kyuuñ jaane pūchhte haiñ kyā
jab rahā na kuchh chāra ham ne haar maanī thī
bas yahī kahānī thī aap ro paḌe haiñ kyā
KHushk ho gain nahren peD jal chuke hain kya
kuchh chaman the raste mein dasht ho gae hain kya
ek ek se puchha hum ne ek wahshat mein
zindagi ke bare mein aap jaante hain kya
iltifat mushkil hai baat to kiya kije
hum nahin bure itne itne hi bure hain kya
apni zindagani ko aur raegani ko
hum uThae phirte hain log dekhte hain kya
yunhi aate-jate ho be-sabab satate ho
sang to nahin hain hum rah mein paDe hain kya
KHwab dekhne wale mo'atabar hue kaise
ye purane sikke yan phir se chal rahe hain kya
sabr kar liya jae ab bhi jaane walon par
pahle jaane wale bhi wapas aa sake hain kya
hum ne ek tamanna ka rasta chuna to hai
ek raste mein bhi aur raste hain kya
ishtiyaq kitna tha aur firaq kitna tha
jaane puchhte hain kyun jaane puchhte hain kya
jab raha na kuchh chaara hum ne haar mani thi
bas yahi kahani thi aap ro paDe hain kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.