KHushk roTi toDni hai sard pani chahiye
ḳhushk roTī toḌnī hai sard paanī chāhiye
kyā kisī girje kī kunDī khaTkhaTānī chāhiye
ai samā.at us fazā meñ aaj bhī maujūd hai
haañ navā-e-naġhma-e-kun tujh ko aanī chāhiye
kāhinā ham se rivāyat kā mukammal matn sun
batn meñ jaltī huī sham-e-ma.ānī chāhiye
sābiqa naqshe pe taaza saltanat ījād ho
āsmāñ niilā banānā ghaas dhānī chāhiye
gum-shuda sūraj ko rotā hai mirā yaum-e-saped
surma.ī shab ko charāġh-e-āñ-jahānī chāhiye
husn ke gaare meñ āb-e-ishq kī chhīñTeñ milā
champa.ī rañgat meñ ātish sansanānī chāhiye
jism kī gosha-nashīnī aur kitne roz hai
banda-e-rabb-e-alī ko lā-makānī chāhiye
KHushk roTi toDni hai sard pani chahiye
kya kisi girje ki kunDi khaTkhaTani chahiye
ai samaat us faza mein aaj bhi maujud hai
han nawa-e-naghma-e-kun tujh ko aani chahiye
kahina hum se riwayat ka mukammal matn sun
batn mein jalti hui sham-e-maani chahiye
sabiqa naqshe pe taza saltanat ijad ho
aasman nila banana ghas dhani chahiye
gum-shuda suraj ko rota hai mera yaum-e-saped
surmai shab ko charagh-e-an-jahani chahiye
husn ke gare mein aab-e-ishq ki chhinTen mila
champai rangat mein aatish sansanani chahiye
jism ki gosha-nashini aur kitne roz hai
banda-e-rabb-e-ali ko la-makani chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.