KHushk sahra mein aab paDhti hai
ḳhushk sahrā meñ aab paḌhtī hai
ret meñ vo sarāb paḌhtī hai
us ke apne hī isti'āre haiñ
ḳhaar ko bhī gulāb paḌhtī hai
us ke ruḳh ko maiñ chāñd paḌhtā huuñ
vo kise māhtāb paḌhtī hai
oḌh letī hai ik hayā jab vo
merī āñkhoñ ke ḳhvāb paḌhtī hai
yuuñ zabāñ us kā naam letī hai
jaise harf-e-savāb paḌhtī hai
us kī āñkheñ kabhī maiñ paḌhtā thā
ab vo merī kitāb paḌhtī hai
KHushk sahra mein aab paDhti hai
ret mein wo sarab paDhti hai
us ke apne hi isti'are hain
KHar ko bhi gulab paDhti hai
us ke ruKH ko main chand paDhta hun
wo kise mahtab paDhti hai
oDh leti hai ek haya jab wo
meri aankhon ke KHwab paDhti hai
yun zaban us ka nam leti hai
jaise harf-e-sawab paDhti hai
us ki aankhen kabhi main paDhta tha
ab wo meri kitab paDhti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.