KHushk tha arsa-e-tarawish bhi
ḳhushk thā 'arsa-e-tarāvish bhī
dīdanī thā tilism-e-bārish bhī
zehn meñ bhī na thā koī chakkar
mo'tabar thī kure kī gardish bhī
aañkh ko bhī shu’ūr-e-dīd na thā
sard thī raunaq-e-numā.ish bhī
ziina ziina utar rahā thā 'ishq
saaya saaya thī jism-ḳhvāhish bhī
phir huā yuuñ girāñ guzarne lagī
us parī-chehra kī satā.ish bhī
aur fasāna tamām-shud yā'nī
tham ga.ī us mizha kī jumbish bhī
KHushk tha 'arsa-e-tarawish bhi
didani tha tilism-e-barish bhi
zehn mein bhi na tha koi chakkar
mo'tabar thi kure ki gardish bhi
aankh ko bhi shu’ur-e-did na tha
sard thi raunaq-e-numaish bhi
zina zina utar raha tha 'ishq
saya saya thi jism-KHwahish bhi
phir hua yun giran guzarne lagi
us pari-chehra ki sataish bhi
aur fasana tamam-shud ya'ni
tham gai us mizha ki jumbish bhi
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 43)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.