KHushk zamin hun barkha ho tum
ḳhushk zamīñ huuñ barkhā ho tum
maiñ pyāsā huuñ dariyā ho tum
bhar do mere ḳhālī-pan ko
maiñ sāġhar huuñ miinā ho tum
saarī duniyā se kah dūñgā
merī saarī duniyā ho tum
sun kar jis ko vajd ho taarī
bas aisā hī naġhma ho tum
mil kar tum se yuuñ lagtā hai
dhuup meñ jaise saayā ho tum
kahnā paḌā ye dekh ke tum ko
qudrat kā shah-pāra ho tum
tum ko 'shakīl' ab aur kahe kyā
bas ik chāñd kā TukḌā ho tum
KHushk zamin hun barkha ho tum
main pyasa hun dariya ho tum
bhar do mere KHali-pan ko
main saghar hun mina ho tum
sari duniya se kah dunga
meri sari duniya ho tum
sun kar jis ko wajd ho tari
bas aisa hi naghma ho tum
mil kar tum se yun lagta hai
dhup mein jaise saya ho tum
kahna paDa ye dekh ke tum ko
qudrat ka shah-para ho tum
tum ko 'shakil' ab aur kahe kya
bas ek chand ka TukDa ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.