KHususi lutf-farmai na chhoDi
KHususi lutf-farmai na chhoDi
Mansha ur Rahman Khan Mansha
MORE BYMansha ur Rahman Khan Mansha
ḳhusūsī lutf-farmā.ī na chhoḌī
un āñkhoñ ne masīhā.ī na chhoḌī
rahīñ pābandiyāñ jab tak zabāñ par
ḳhamoshī ne bhī goyā.ī na chhoḌī
hue pairāhan-e-gul chāk-dar-chāk
sabā ne nāz-farmā.ī na chhoḌī
hameñ bhī ārzū-e-nek-nāmī
havā-e-kū-e-rusvā.ī na chhoḌī
usī se chashm-o-dil kī zindagī thī
matā.a-e-nā-shakebā.ī na chhoḌī
hazāroñ ranj-o-ġham haiñ phir bhī dil ne
tire ġham kī pazīrā.ī na chhoḌī
ḳhirad ne laakh samjhāyā Darāyā
junūñ ne hashr-ārā.ī na chhoḌī
havādis se guzarne par bhī 'manshā'
ġhazal ne shān-e-ra.anā.ī na chhoḌī
KHususi lutf-farmai na chhoDi
un aankhon ne masihai na chhoDi
rahin pabandiyan jab tak zaban par
KHamoshi ne bhi goyai na chhoDi
hue pairahan-e-gul chaak-dar-chaak
saba ne naz-farmai na chhoDi
hamein bhi aarzu-e-nek-nami
hawa-e-ku-e-ruswai na chhoDi
usi se chashm-o-dil ki zindagi thi
mataa-e-na-shakebai na chhoDi
hazaron ranj-o-gham hain phir bhi dil ne
tere gham ki pazirai na chhoDi
KHirad ne lakh samjhaya Daraya
junun ne hashr-arai na chhoDi
hawadis se guzarne par bhi 'mansha'
ghazal ne shan-e-ranai na chhoDi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.