KHu-e-talab ka dil se batana kuchh aur hai
KHu-e-talab ka dil se batana kuchh aur hai
Abdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
MORE BYAbdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
ḳhū-e-talab kā dil se batānā kuchh aur hai
ḳhuddāriyoñ kā apnī taqāzā kuchh aur hai
sīmāb aur barq kī betābiyāñ bajā
lekin dil-o-jigar kā machalnā kuchh aur hai
maanā shafaq meñ surḳhī hai mastī sharāb meñ
lekin tire shabāb kā naqsha kuchh aur hai
maanā ki māh-o-anjum-o-gul haiñ bahut hasīñ
lekin mirī nigāh ne dekhā kuchh aur hai
ab kaif-o-imbisāt se 'kaifī' mujhe ġharaz
lazzat-kash-e-alam huuñ tamannā kuchh aur hai
KHu-e-talab ka dil se batana kuchh aur hai
KHuddariyon ka apni taqaza kuchh aur hai
simab aur barq ki betabiyan baja
lekin dil-o-jigar ka machalna kuchh aur hai
mana shafaq mein surKHi hai masti sharab mein
lekin tere shabab ka naqsha kuchh aur hai
mana ki mah-o-anjum-o-gul hain bahut hasin
lekin meri nigah ne dekha kuchh aur hai
ab kaif-o-imbisat se 'kaifi' mujhe gharaz
lazzat-kash-e-alam hun tamanna kuchh aur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.