Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHub farmaya ki apna pyar rahne dijiye

Akbar Allahabadi

KHub farmaya ki apna pyar rahne dijiye

Akbar Allahabadi

MORE BYAkbar Allahabadi

    ḳhuub farmāyā ki apnā pyaar rahne dījiye

    aap ye ġhamza-o-inkār rahne dījiye

    chāñdnī barsāt nikhrī hai chaltī hai 'nasīm'

    aaj to lillāh ye inkār rahne dījiye

    chashm-e-bad-dūr aap nazreñ haiñ ḳhud mauj-e-sharāb

    bas mujhe be-mai piye sarshār rahne dījiye

    kījiye apnī nigāh-e-fitna-afzā 'ilāj

    nargis-e-bīmār ko bīmār rahne dījiye

    chhoḌne maiñ nahīñ ab aap ko ai jān-e-jāñ

    hai agar mujh par ḳhudā maar rahne dījiye

    ham-kinār us bahr-e-ḳhūbī se na hoñge 'akbar' aap

    aise mansūbe samundar-pār rahne dījiye

    KHub farmaya ki apna pyar rahne dijiye

    aap hi ye ghamza-o-inkar rahne dijiye

    chandni barsat ki nikhri hai chalti hai 'nasim'

    aaj to lillah ye inkar rahne dijiye

    chashm-e-bad-dur aap ki nazren hain KHud mauj-e-sharab

    bas mujhe be-mai piye sarshaar rahne dijiye

    kijiye apni nigah-e-fitna-afza ka 'ilaj

    nargis-e-bimar ko bimar rahne dijiye

    chhoDne ka main nahin ab aap ko ai jaan-e-jaan

    hai agar mujh par KHuda ki mar rahne dijiye

    ham-kinar us bahr-e-KHubi se na honge 'akbar' aap

    aise mansube samundar-par rahne dijiye

    Source :
    • Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 66)
    • Author : اکبر الہ آبادی
    • Publication : ریختہ بکس (2023)
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now