KHub hai KHub uDa ai shab-e-furqat ke maze
KHub hai KHub uDa ai shab-e-furqat ke maze
Mohammad Lutfuddin Khan Lutf
MORE BYMohammad Lutfuddin Khan Lutf
ḳhuub hai ḳhuub uḌā ai shab-e-furqat ke maze
lutf har-hāl meñ dete haiñ mohabbat ke maze
ġhair kyā jaane bhalā aish ke ishrat ke maze
haañ musībat se huā karte haiñ rāhat ke maze
aish karte haiñ judā.ī meñ bhī hijrāñ-dīda
rāt-din lūTte haiñ aap kī hasrat ke maze
aap kyā pūchhte haiñ hāl-e-dil-e-zār mirā
talḳh karte haiñ shikāyat ko muravvat ke maze
jam.a rakhtā huuñ hazāroñ diram-e-dāġh-e-jigar
ye badaulat tirī ġhurbat meñ haiñ daulat ke maze
aish-o-ārām-talab log inheñ kyā jāneñ
ham se pūchhe koī aafat ke musībat ke maze
muñh se inkār hai āñkhoñ se hai iqrār-e-visāl
dil se pūchheñ tirī shoḳhī-o-sharārat ke maze
yā shab-e-vasl meñ luuTe haiñ maze ḳhajlat ke
yā mile 'lutf' ko dīdār meñ ġhairat ke maze
KHub hai KHub uDa ai shab-e-furqat ke maze
lutf har-haal mein dete hain mohabbat ke maze
ghair kya jaane bhala aish ke ishrat ke maze
han musibat se hua karte hain rahat ke maze
aish karte hain judai mein bhi hijran-dida
raat-din luTte hain aap ki hasrat ke maze
aap kya puchhte hain haal-e-dil-e-zar mera
talKH karte hain shikayat ko murawwat ke maze
jama rakhta hun hazaron diram-e-dagh-e-jigar
ye badaulat teri ghurbat mein hain daulat ke maze
aish-o-aram-talab log inhen kya jaanen
hum se puchhe koi aafat ke musibat ke maze
munh se inkar hai aankhon se hai iqrar-e-visal
dil se puchhen teri shoKHi-o-shararat ke maze
ya shab-e-wasl mein luTe hain maze KHajlat ke
ya mile 'lutf' ko didar mein ghairat ke maze
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.